Monday 16 April 2012

hum chale is jahan se tumhe khushiyan de kar


hum chale is jahan se tumhe khushiyan de kar
koi jo hui ho khata to maaf kar dena
hum ye na khenege ke yaad rakhna tum hume
pr iltija itni hai ke na bhulana hume
agar ho meri zarorat yaad karna mujhe
main chali aaongi kisi na kisi bahane se
main na bhulongi meri zindagi ke wo pal
jo beetaye the main ne teri hr baaton main
khushi hai ke abhi katil ne bhi na kiya hai waar
gar marr gaye to ye hum ne kaha hai aakhri baar
tumhe mile har khushi mile duniya main wo sughaat
jo na mili ho kisi ko tumhare aane se pehle mere jaane ke baad
khuda rakhe sada khush tumhe
 tumhare chahne walon ke saath
hum ghum ko uthaye chale apne janaze ke saath
khuda rakhe salamat tumhe hamain uthane ke baad
mere liye na banana dukh is baat ka doston
main to badal main bandh jao ik ghata ke saath
rakhna khayal apna sirf mere liye
main kehti hon tumko is iltija ke saath
khush rehna khush rakhna tum sab ko sada
kabhi na mile tumhe ghum hum jaa rahe hai is dua ke saath




No comments:

Post a Comment