Wednesday 5 February 2020

Qurbani

Qurbani

Humari zindagi main kuch rishte aese hote hain jo humse har baar qurbani mangte hain, chahe wo humare sapno ki ho, khuwahishon ki ho, ummeedon ki ho ya phir mohabbat ki ho.
Hum kabhi khud ke liye nahi jeete balke hum hamesha dusron ke liye hi jeete hain aur dusron ke liye jeene main na koi baari ya phir nayi baat hai hume apno ke liye jeena chahiye lekin kabhi kabhi un apno ko bhi us ek apne ka ehsas hona chahiye ke wo kya chahta hai kya nahi, Jab wohi log apni zindagi ke safar main us insan ko peechhe kar dete hai neecha dikhate hain to kahin na kahin wo insan khud ko unse door karne lagta hai unse peeche hone lagta hain jinke liye kabhi wo sab kuch karna chahta tha aj unse hi door jana chahta hai, insan kabhi bhi khud apno se door nahi jata balke apne hi us apne ko kahin bohat peeche chhor dete hain aur andheron main dhakel dete hain.
Qurbani kehna asaan hai dena mushkil har insan ke bas ki baat nahi na ye har insan ke zarf ki baat hai ke wo apni khushiyon ko apno ke liye qurban kare...!

Tuesday 4 February 2020

Pata nahi kyun

Pata Nahi Kyun

Zindagi ka safar khaali khaali mehsoos hone lagta hai achanak se, ek shakhs aata hai aur kuch pal saath de kar har pal ke liye akela kar ke chala jata hai. Hume ehsaas hi nahi ho pata wo kab anjan se jaan ban jata hai, aur hume bejaan kar deta hai.
Hum ehsaas ke maare log mohabbat main lut bhi jaate hain aur apna aap luta bhi dete hai magar jiske liye hum apna aap khatam kar dete hai wo insan iski kadar nahi karta,
"Kehte hain na ke zindagi main qadar karne wale kam aur naqadri karne wale zyada milte hain"

Isi liye waqt par ki gayi kadar insan ko zindagi bhar apne hone ki ehmiyat ka ehsaas dila jaati hai aur kabhi kabhi waqt par na ki jaane wali kadar insan ko us na kadre insan se bohat door le jaati hai...!